Monday, June 1, 2009

Sad Shayari at its best

Meri aankho se ashq behte he uski chahat me,
aur woh khush ho rahe he kisi aur ki Khayalo me,

jala kar mere khwabo k manzar ko,
mehfuz he woh kisi aur k ashiyane me.

qatal kar dia jalim ne meri mahobbat ka,
aur chain se sanse le rahe he kisi gair ki baho me.

chod jaunga duniya gar woh meri na hui,
reh jaenge sirf yadon ke nisha is karvan me.

SMS Shayari , Sad Shayari

Har din woh aapki meri mulaqat,
Har roz hasna ruthna aapka,
Gaye woh din milne ke aapko,
Gaye woh din manane hasane k aapko,
Bas itna hi tha sath aapka mera,
Yahi soch ke haste apni kismat par

wo din bhi suhana tha wo sham bhi suhani thee
gore gore rung per madhosh wo jawani thee
fir hamko pata lega ki wo hai ak bewafa
sochkar rone lege ye meri ak nadani thee.

Sad Shayari

Sad Shayari for SMS, SMS Shayari

Woh to paani ki boond hai jo aankhon se beh jaye
Ansu to woh hai jo tadap ke aankhon mein hi reh jaye
Wo DARD kya jo lafzon mein byan ho
DARD to woh hai jo aankhon mein nazar aaye...

Wo mujh pe ajeeb asar rakhta hai
Mere Adhooray dil ki khabar rakhta hai
Shayad ke hum usay bhool jatay magar
Yaad aane ke wo saray hunar rakhta hai

Unke saath rehte hai par izhar kar nahi sakte,
Unse pyaar karte hai par keh nahi sakte,
Yeh kaisa pyaar hai mera,
Unhe chahkar bhi pa nahi sakte.

Kabhi jis dil mein naam hamara dhadakta tha,
Jin aankhon mein kabhi hamare hi sapne hote the,
Jin hothon par har waqt hamara hi naam hota tha,
Aaj wahi dil, wahi aankhe, wahi sab begane se lagte hain.
Shayad wus dil ki kasti ko naya manjhi mil gaya,
Apna kya, hamne to kinare se dosti kar li.

Bachpan k wo DUK bi kitny achy thy , Good shayari

Bachpan k wo DUK bi kitny achy thy'
Tab to sirf KHILONY tota Karty thy'
Woh KHUSHIYAN bi jane kaisi khushiyan thi'
"TITLI" K par noch k UCHLA karty thy'
PAON mar k khud barish k PANI me'
Apni KASHTI aap DABOYA karty thy'
Ab to ik ANSO bi rusva karta hai'
BACHPAN me
DIL khol k roya karty thy..

Ek din usne pucha main kahan hoon? , SMS

Ek din usne pucha main kahan hoon?
MAINE KAHA:
Mere Dil me,
Meri Jaan me,
Meri Saans me,
Meri Aas me,
Mere dil ki Dharkn me,
Meri rooh me,
Mere Pooray Wajood me,
Phir usne pocha k mai Kahan Nahi hoon,
Mai ne Kuch dair socha IMDAD or
phir apny Haath Aagay kr diye or
Kaha:
?IN LAKIRON MAI?