Barastey hain ansoon teri yaad mein ab tâk
Sulagh gaye armaan khoon-é jigar ki had tâk
Bebassi ka aalâm hai berukhi ka aanchal hai
Navazaa hai mujko teri judaayi ney aab tâk
Murdaa hai kiun iss qadâr mera dil yaa râb
Benoor hai jahaan uss mulaqat sey aab tâk
Dil sey yun mukhaatib huyi woh pehli nazar
Jaal gaya sinaa waiham’o guma’ ki haad tâk
Meri ruswaayi sey hain woh kitney bekhabar
Sitaam diye hain magar intehaa-é junoon tâk
Itni bhi sangdil to nahin k banjayoun ik afsana
Gumnaam hi rahey teri justejoo mein aab tâk
Iss dastaan ko mila hai joh qaraar-é berukhi
Pii rahaa houn jaam aihl-é yaakin mein ab tâk
Aab phoolon se kaihdey maihaak’na chordey
K chubtey hain kaantey hâr saans mein ab tâk
Saturday, January 3, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment