bujhti jaati hai shaam aur raat jalti jaati hai
koi tasveer si phir dil me jagmagaati hai
utren hain dhoop ke ghodde sabhi munderon se
raat sab past savaaron pe muskuraati hai
koi sangeen si hai tees kahin dafn zaroor
shaam aate hi qalam marham lagaati hai
tez ho gardish e douraan mujhe ab chain nahi
tere nezon se na jaan ab ghabraati hai
teekhe teekhe kai lafzon ka lahu dil me ravan
yun nahi lafzon ke gulshan me bahaar aati hai
aur kuch der sanvar zeest ki is shaam ke saath
koi rangeen chunar zehan me lehraati hai
na to dil me hi hai kuch na to ab zehan roshan
ik adhere ki taraf rooh badhi jaati hai
Friday, January 9, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment