Saturday, March 7, 2009

Holi Kavitaein - Rango se Pyaar

Kyo mo pe rang ki maari pichkaari
Dekho Kunwarji doongi mein gaari
Bhag sakoon mein kaise mo san bhaga nahin jaat
Thadi ab dekhoon aur ko sanmuch mein aat
Bahut dinan mein haath lage ho kaise jane doon
Aaj phagwa to san ka tha peeth pakad kar loon


Jab phagun rang jhamkte hon
Tab dekh baharein holi ki.
Jab daf ke shor khadke hon
Tab dekh baharein holi ki
Pariyon ke rang damkte hon
Tab dekh baharein holi ki.

Basant khelein ishq ki aa pyara
Tumhin mein chand mein hoon jyon sitara
Jeevan ke houzkhana mein rang madan bhar
So rom rom charkiya laye dhara
Nabi sade basant khelia kutub shah
Rangeela ho riha tirlok saara

Le abeer aur argaza bhar kar rumal
Chidkte hein aur udate hein gulal
Jyon jhadi har soo hai pichkaari ki dhaar
Doudti hein narian bijki ki saar

Gulzar khile hon pariyon ke
Aur majlis ki tyari ho
Kapdon par rang ke cheeton se
Khushrang ajab gulkari ho

No comments: