Monday, June 1, 2009

Sad Shayari for SMS, SMS Shayari

Woh to paani ki boond hai jo aankhon se beh jaye
Ansu to woh hai jo tadap ke aankhon mein hi reh jaye
Wo DARD kya jo lafzon mein byan ho
DARD to woh hai jo aankhon mein nazar aaye...

Wo mujh pe ajeeb asar rakhta hai
Mere Adhooray dil ki khabar rakhta hai
Shayad ke hum usay bhool jatay magar
Yaad aane ke wo saray hunar rakhta hai

Unke saath rehte hai par izhar kar nahi sakte,
Unse pyaar karte hai par keh nahi sakte,
Yeh kaisa pyaar hai mera,
Unhe chahkar bhi pa nahi sakte.

Kabhi jis dil mein naam hamara dhadakta tha,
Jin aankhon mein kabhi hamare hi sapne hote the,
Jin hothon par har waqt hamara hi naam hota tha,
Aaj wahi dil, wahi aankhe, wahi sab begane se lagte hain.
Shayad wus dil ki kasti ko naya manjhi mil gaya,
Apna kya, hamne to kinare se dosti kar li.

No comments: