Friday, June 26, 2009

Tumhara naam likh-likh k mitana bhool jaata hoon

Tumhara naam likh-likh k mitana bhool jaata hoon..
Tumhe jab yaad karta hoon ,bhulaana bhool jaata hoon..

Bahut si baatein uth'ti hain shaam-seher Dil mein..
Magar milta hoon tumse jab, sunana bhool jaata hoon..

Tumhare baad har pal badi mushkil se kat'ti hai..
Main aksar tumko khwaabon me batana bhool jaata hoon..

Main har shaam kehta hoon ..tumko bhool hi jaunga..
Magar jab subah hoti hai , Iraada bhool jaata hoon..

Tumhaari hi yaadon se abaad ab meri zindagi hai..
Tumse door hone ke khayaal se jeena bhool jaata hoon..!!

No comments: