mein hoon tum ho aur khamoshi
jaanay kab door hogi ishq ki madhoshi
dekhtay hua zamana guzara hai
falak par door talak chandni ki sargoshi
mein hoon tum ho aur khamoshi...
toofanon kay caravan dil mein samaye
bhataktay rahay kadam nazarain tujhe par jamaaye
mil jao tum kisi raah kisi modh par
dharkan ab sahamnay lagi waqt ki khamoshi
mein hoon tum ho aur khamoshi....
kyon tumsay umeed lagi hai har pal
manzil ho tum toh phir kaisi faraamoshi
labon kay khultay hi raaz khul jaayengay
rah jaayega milan archana aur ishq ki madhoshi
mein hoon tum ho aur khamoshi...
Saturday, December 20, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment