Sundar hai jag me sabse, naam bhi nayara hai
Woh desh hamara hai, woh desh hamara hai
Jaha jati-bhasha se badh kar Desh-Prem ki dhara hai
Woh desh hamara hai, woh desh hamara hai
Jita tha prem se sabko, hai "Baapu" us ka naam
Desh ke khatir jisne kiya apna jeewan balidan
Jaha pe vir Bhagat, Azad aur "Bose" ka nara hai
Woh desh hamara hai, woh desh hamara hai
Jaha pe "Suraj" puja aur nadion me mata Ganga
Chandrama pe lahraya jisne apna dhwaj "TIRANGA",
Vishv ko jisne ZERO dekar kiya navyug ka ujiyara hai,
Woh desh hamara hai, woh desh hamara hai
Jo sadion se aaj bhi har rishte se pyara hai
Sincha jisko khun se humne aur mamta se sawara hai
Jaha Ajuba hai vishv ka, kehlata "TAJ" humara hai
Woh desh hamara hai, woh desh hamara hai
Jis desh ko "Mata" keh ke hum sab ne diya samman
Wo hai Bharat desh mahan, wo hai Bharat desh mahan
Saturday, December 20, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment