Sunday, December 21, 2008

Sad poem in hindi


hum jal kar v roshni failate rahe,
isliye log hume jalate rahe,
mere jalne ko kisi ne dekha hi nahi,
meri roshni pe sab mushkurate rahe.

Bheeg jati hai palak tanhai main,
darte rehte hain ye koi jan na le,
pasand karte hain baarish main chalna,
taaki rote hue koi pehchaan na le.

wo mil jate hai kahani bankar,
dil me bas jate hai nishani bankar,
jinhe hum rakhte hai apni palko par,
kyo nikal jate hai wo pani bankar……

Rangne Wale Rang Se Tasveer Badal Dete Hai,
Dost Doston Ke Hathon Ki Lakeer Badal Dete Hai,
Tumse Mere Aansu Na Badle Gaye,
Badalnewale To Taqdeer Badal Dete Hai…

Har ek jazbaat ko zuba nahi milti,
Har ek aarzoo ko dua nahi milti,
Muskaan banaye rakho to duniya saath hai,
Warna aansuon ko bhi aankho me panaah nahi milti

No comments: