Jism tadpa hai khak par tanha,
Rooh karti rahi safar tanha,
Neend walon ko kya khabar iski,
Koun jaaga hai raat bhar tanha,
Log soye the band kamron mein,
Chaand bhatka hai dar badar tanha,
Saath deta hai koun manzil tak,
Saath chalti hai rah guzar tanha,
Shehar ka shehar bujhta jaata hai,
Ja raha tha woh apne ghar tanha,
Ae gham e zindgi ke raat ke chand,
Dhoond mujhko nagar nagar tanha,
Woh jo hansta tha haal-e-dil pe kabhi tanha,
Ro pada khud ko dekh kar tanha,
Bhool kar apne husn ke aadaab,
Mere dil mein kabhi utar tanha,
Yeh aaye hazaar shehar mujhe,
Jab bhi dekha koi khandar tanha,
Is bhare shahar mein kabhi,
Anjman tha koi magar tanha...!!!
Saturday, February 7, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment