A Poem on Recession ye jo thode se hai paise inse gadii kharidu main kaise Petrol ke daam bhale hi kam huye lekin EMI chukaaonga main kaise ye jo thode se hai paise agar koi aisa bank hota jo 0% interest pe loan deta main us bank main jaata 100% loan le aata magar kya karoon main ki ye jaanta hoon loan milta nahi aise ye jo thode se hai paise agar koi mera dost hota jiske paas Maruti hota main uske paas chale jaata uski car udhaar le aata magar kya karoon main ki ye jaanta hoon mere dost bhi hai mere jaise ye jo thode se hai paise Jab bhi mera dil hota tumse baat karne ko phone uthaata lekin low balance dekh ke main apne dil ko maar deta chahta hoon main tumse baat karna lekin free calling ke bhi lagte hai paise ye jo thode se hai paise bhale hi na ho paise bhale hi na ho haalaat pehle jaise lekin jab tak hai himmat hum tootenge na aise aaj nahi sambhle to kal isse ubharenge kaise aaj bhale hi ho lekin kal nahi rahenge ye jo thode se hai paise |
Friday, February 27, 2009
A Poem on Recession
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment