Maine kabhi dekha nahi uska chehra,
Phir bhi uski baato se ehsaas hai,
Wo kahi door chhupa baitha hai,
Phir bhi kitna paas hai,
Roz baatein to hoti hai magar,
Kya hoti hai ye samajhna hai,
Maine shayad pehchana nahi use,
Par pehchan jaane ka armaan hai,
Kaun hai wo ye batana hai mushkil,
Kyun ki main usse or wo mujhse anjaan hai,
Dosti ki shuruat kuch aise hi hoti hai,
Achcha hota hai jab pehchanne mein deri hoti hai,
Jaan pehchaan ka daur jab tak chalta rahega,
Dosti ka bahare chaman khitla rahega,
Wo to waise bhi dosti ke sartaaj hai,
Lambi list hai jispe unhe naaj hai..!!!
Saturday, February 7, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment