Khwabon ki ek duniya main
Ek murat rachi thi
Nashili aakhen madhosh kardene wali
Wo katil hasi dekhi thi
Chand sa chera laherati zulfe
Wo is daard-e-dil ke dawa thi
Mohabbat main iskadar dube
Khud ko sambhalne ka hosh nahi tha
Ishq ka junoon hua sawar
Sochne samajhne ka wqth nahi tha
Unki deewangi ka aisa chadha khumar
Yeh pagalpan nahi to aur kya tha
Aakhe khuli to pata chala
Ek hasi khuwab-e-hakikat tah
Kaise kahe dun use bewafa main
Usne to dil se deedar kiya tha
Nahi main chata tute uska dil
Us dileuba se hi to maine pyaar kiya tha
Kasauti jindgi ke kahun ya anchahi baat
Mera dil bhi to bewafa nahi hai
Kor nahi sakta aab main use
Uspe aab mera koi haqu nahi hai
Aazad kiya tujhe aaj e jindgi
Ghav dil ke aab bharne walw nahi hai
No comments:
Post a Comment