Wednesday, December 17, 2008

Heart Break Poem or Dard bhari Shayari

zindagi main mere abb sirf tanhaee hai
tumharee yaad mujhey kis moar par le aee hai

na ajj tum ho aur na tumhara saya hai
bas isi sooch main mere ankh bhar aee hai

tumharee tammana mere dil main har waqat rehte hai
tumharee ass iss dil ne kiyon lagaee hai

woh aik bar bhi palatne ko razi hi nahen
kese musafir ko awaz hum ne lagaee hai

har aik zakham jinka hum ne hans kar saha
na jane kiyon , inki har baat abla paee hai

tumharee gham hameen kehte hain , hum see dosti karlo
kee ab tu tumharee pass bhi tanhaee hai.....

No comments: