Saturday, February 7, 2009

Is dil mein khayaal jab tumhaare hote hai

Is dil mein khayaal jab tumhaare hote hai,
Mere daaman mein chaand aur sitaare hote hai,
Ek main aur meri tanhai shab-e-hizar mein,
Aur tumhari yaadon ke sahare hote hai,
Tera aana,muskurana,mujhse lipat jaana
,Ek khayaal aur kamaal kitne saare hote hai,
Haath mein "Kamal" ye chalti hai khud-ba-khud,
Jab kalam ko zakhmo ke ishaare hote hai..!!!

No comments: