Saturday, February 7, 2009

Kisse mehfil ki baat karte ho - hearBreaking Shayari

Kisse mehfil ki baat karte ho,
Main to tanhaaiyo mein rehta hoon,
Humsafar koun hai mere gham ka,
Main to parchaaiyo mein rehta hoon..

Mujhko maaloom hai ke gham kya hai,
Mujhko maaloom zindagi kya hai,
Tum zamane ki baat karte ho,
Main to gehraiyo mein rehta hoon..

Meri aawaaz log sunte hai,
Dard ka saaz log sunte hai,
Meri shohrat to ek dhoka hai,
Main to ruswaiyo mein rehta hoon..

Khud ko barbaad kar liya maine,
Gham se azaad kar liya maine,
Ab virana mera thikana hai apni,
Main to barbaadiyo mein rehta hoon..

Mujhse poocho na aansuon ka sabbab,
Jo mere paas hai muqadar hai,
Kya khushi hai ye keh nahi sakta,
Gham ki main aandhiyo mein rehta hoon..!!!

No comments: