Wednesday, February 18, 2009

Mohabbat mein sanam, main teri ho chali

pyaar tujhse kar baithe hai, yeh gunha to aab kar baithe hai
gusthakhi ho maaf sanam, tujhe dil hum de baithe hai

*
ek alag sa shayar mujhme jagaya hai, mujhe iskadar deewana banaya hai
pal pal tujhko paas main pati hun, ek nazam udher en kalam ka ubaal aaya hai

*
iskadar betabi na bada, yeh berukhi hai sanam
mujhe tu is jaha se le ja, is pyaar ka sahara ban

*
mohabbat aisa alam dekhayegi, maloom na tha mujhe
teri chahat deewana banayegi, maloom na tha mujhe
aab pyaar mein iskadar doobi hun, hun is duniya se bakhabar
ishq mauth ke khof se pare hai, maloom na tha mujhe

*
mohabat mein yeh tanhai, mohabbat mein aam hai
gudgudata mitha yeh ahesas, mujhe karta badnam hai

*
tu ashiq hai mera, main teri deewangi
mohabbat mein sanam, main teri ho chali

No comments: