Friday, February 27, 2009

A Poem on Recession


A Poem on Recession
ye jo thode se hai paise
inse gadii kharidu main kaise
Petrol ke daam bhale hi kam huye
lekin EMI chukaaonga main kaise
ye jo thode se hai paise
agar koi aisa bank hota
jo 0% interest pe loan deta
main us bank main jaata
100% loan le aata
magar kya karoon main ki ye jaanta hoon
loan milta nahi aise
ye jo thode se hai paise
agar koi mera dost hota
jiske paas Maruti hota
main uske paas chale jaata
uski car udhaar le aata
magar kya karoon main ki ye jaanta hoon
mere dost bhi hai mere jaise
ye jo thode se hai paise
Jab bhi mera dil hota
tumse baat karne ko phone uthaata
lekin low balance dekh ke
main apne dil ko maar deta
chahta hoon main tumse baat karna
lekin free calling ke bhi lagte hai paise
ye jo thode se hai paise
bhale hi na ho paise
bhale hi na ho haalaat pehle jaise
lekin jab tak hai himmat
hum tootenge na aise
aaj nahi sambhle to kal isse ubharenge kaise
aaj bhale hi ho lekin kal nahi rahenge
ye jo thode se hai paise

No comments: