Tuesday, February 3, 2009

valentine Shayari

Har mulaqat pe nigaheyin meri faryaad karti yahi
Ek palat nazar se dekhlein woh kabhi
Aur woh bin dekhe hi andekha kar jaati hain
Reh jaati hain meri tamannayein dil mein dabi….

Kya samjhengi woh iss dil ki dard ko
Khoyee jo hain woh apne hi jahaan mein
Kya mehsoos hogi unko meri tadap
Shamil jo hain woh iss duniya ki mehfil mein…..

Na khud samjhe na samjha sakey hum unhe
Na paaye kabhi na kabhi kho sake unhe
Yeh bekhudi toh rab bhi na jaaney
Iss dil ka nazrana na dila sakey hum unhe….

Shadeyein dil ki sune bhi toh woh sunegi kaise
Khayalon mein unke toh iss dil ka jikr tak nahin
Meri khawhishon ka janaza bhi nikal gaya
Aur unko toh hamari fikr tak nahin….

Na koi shikwa hai aur na shiqayat hai
Chhod unhe na koi doosri chhahat hai
Bas wohi meri safar hai, wohi meri manzil hai
Wohi khuda hai, wohi meri ibadat hai….

Apna pyar ko chupa na sake,
Deewana dil pe kaboo pa na sake,
Aaj itne karib sa guzar gaye wo
phir b unke hath hum tham na sake!!

No comments: