Tuesday, February 10, 2009

Valentine shayari

OS ne kaha mujh se kitna piyar hai
main nay kaha, sitaron ka koi shumaar hai

os ne kaha k kon tumhain hai buhat aziz?
main ne kaha k dil pay jisay ikhtiar hai

os ne kaha kay kon sa tuhfa hai mann pasand
mainay kaha : woh shaam ju ab tak udhaar hai

os ne kaha kay k sainkaron gham Zindagi main hain
mainay kaha k gham nahin, jab gham gusaar saath hai

os ne kaha kahan tak saath nibha o gay
mainay kaha, jitnee ye saanson ki taar hai

os ne kaha mujh ko yaqeen aa a kis tarah?
mainay kaha kay mera naam Aitbaar hai (Mehvi)

No comments: